Saturday, 13 August 2011

"Zindagi Na Milegi Dobara" poems

Yesterday we watched ZNMD and I was totally blown away by the poetry in the movie. Hats off to Javed Akhtar for writing these proses and to Farhan Akhtar for delivering them so beautifully and effortlessly! Without further ado, below are the pieces of poetry from the movie:

Poem 1:

Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsas hi ahsas hai

Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai

Poem 2:

Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya

Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai

Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa

Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai

Poem 3:

Pighle neelam sa behta ye sama,
neeli neeli si khamoshiyan,
na kahin hai zameen na kahin aasmaan,
sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
keh raheen hai bas ek tum ho yahan,
bas main hoon,
meri saansein hain aur meri dhadkanein,
aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan,
aur main… sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.

Poem 4:

Dilon me tum apni betabiyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Nazar me khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya sama dekhe nigahein
Jo apni ankhon mein hairanian leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Dilon mein tum apni betabian leke chal rahe ho,to zinda ho tum

4 comments:

PizzaDude said...

Oooh, thanks so much for compiling this!! I couldn't concentrate much on the poems when I watched ZNMD.

PS: Loved the movie! Planning to watch it again.

Nidhi said...

@Pizzadude - I loved these proses so much that I wanted to write them down somewhere...and well, hadnt written a blog post too for quite some time...so "ek teer se do shikaar"..lol. I loved ZNMD too!
As for visitng ur blog, I had blogrolled you long back and I came to know that you have posted :)

ketki said...

thats some fine poetry!

Nidhi said...

@ketki - yeah, i totally loved these!